धीरूभाई अंबानी की प्रेरणादायक कहानी - LIFE INSPIRING STORY OF DHIRUBHAI AMBANI
28 december, 1930 ko Gujarat ke Junagadh ke Chote se gaav chorvaad mein dhirajlal heeralal ambani ka janam hua. pita Gordhanabhai ambani ek shikshak the. maata jamanaben ek saamaanya Housewife thi. dhirubhai ke Char Bhai-bahan aur the. itne bade parivaar ka laalan-paalan Karna adhyaapak gordhanabhai ke liye saral kaam na tha. ek samay aisa aaya ki aarthik pareshaaniyon ki Wajah se Dhiru Bhai ko Padhayi beech mein Hi Chodni Padi aur Unki School ki shiksha Bhi Adhuri raha Gayi. pita ki madad karne ke liye dhirubhai ne chote- mote kaam karne Shuru kar diye.
yaha udaaharan ki harbek Safalta ke peeche Dheron(many) asafaltaaye Chupi Hui Hoti hai, dhirubhai ambani par Ek dam Satik khari Utarti hai. Padhayi Chodne ke baad pahale pahal dhirubhai ne phal(fruits) aur naashta bechane ka kaam shuroo kiya, lekin kuch khaas Faayda nahi hua. unhone dimaag lagaaya aur gaav ke Nazdik sthit dhaarmik Paryatan sthal Girnaar mein pakode bechane ka kaam shuroo kar diya. yah kaam puri tarah aane vaale paryatakon par nirbhar tha, jo saal ke kuchh samay to achchha chalta tha baaki samay ismen Koyi khaas laabh nahin tha. dhirubhai ne is kaam ko Bhi kuch samay baad band kar diya. Business mein Mili Pehli do Asafaltaon(failure) ke baad unke pita ne unhe Naukri Karne ki salaah di.
dhirubhai ke bade bhai Rameek bhai un dino Yemen mein Naukri kiya karte the. Unki madad se dhirubhai ko bhee yaman jaane ka mauka mila. vahaan unhonne shell Company ke petrol Pump par Naujri ki Shuruvaat ki aur mahaj do saal mein hi Apni yogyata ki Wajah se prabandhak ke pad tak pahunch gaye. is Naukri ke dauraan Bhi Unka man isme kam aur vyavasaaya Karne ke mauko ki Taraf Zyaada raha. unhone us har ek sambhavana par is samay mein vichaar kiya ki kis tarah ve Safal Business man ban Sakte hain. 2 choti Ghatnaaye Business ke prati Unke Junoon ko bayaan karti hain. yaha dono Ghatnaaye us samay ki hai jab ve shell Company mein apni Sevaaye de rahe the. jahan ve kaam karte the, vahan kaam karne Waala karmiyon ko chai mahaj 25 paise mein Milti thi, lekin dhirubhai paas Hi ek bade Hotel mein chai peene jaate the, jahaan chaay ke lie 1 rupay chukana padta tha. unse jab iska kaaran Pucha gaya to unhone bataaya ki use bade Hotel mein bade-bade Vyapaari aate hain aur Business ke baare mein baate karte hai. unhe Hi sunne jaata hoon taaki vyaapaar ki Baarikiyo ko samajh sakoo. dhirubhai ne Apni Hi tareeke se business management ki shiksha li. jinhone aage chalkar WHARTON aur HARVARD se Paarampik tareeke se Degree lene vaale ko Naukri par rakha. isi tarah Dusri ghatna unki paarkhi Nazar aur avasar bhunaane ki kshamta ki aur ishaara karti hai. hua yu ki un dinon mein yaman me chaandi ke sikko ka prachalan tha. dhirubhai ko ehasaas hua ki in sikko ki Chaandi ka moolya sikkon ke moolya se jyaada hai aur unhone London ki ek Company ko in sikko ko galaakar aapoorti Karni shuroo kar di. yaman ki Sarkar ko jab tak is baat ka pata chalta ve mota Munafa kama chuke the. ye dono Ghatnaaye ishara kar rahi thi ki dhirubhai ambani ke paas ek safal Business Banne ke saare gun hai.
yaman mein dhirubhai ka samay beet raha tha ki vahan Azadi ke liye ladayi shuroo ho Gayi aur dheron(many) bhartiyo ko yaman Chodna pada. is pareshani ke aalam mein dhirubhai ko bhee yaman chodna pada. Ishwar ne ek Safal Businessman banaane ke liye paristheetiya gadhani shuru kar di. is naukri ke chale jaane ke baad unhone naukri ki jagah Business Karne ka nirnay liya, lekin vyavasaay shuru Karne ke lie paison ki jaroorat thi. dhirubhai ke paas nivesh ke liye badi rakam nahi thi Isliye unhone apne Mama trambaklal Damani ke saath masalo(spices) aur shakkar(sugar) ke vyaapaar ki shuruvaat ki. Yahi par reliance commercial corporation ki neev Padi. Iske baad Reliance ne soot ke Karobar mein pravesh kiya. Yaha bhi safalta ne dhirubhai ke kadam choome aur Jaldi Hi ve bombay soot Vyapaari sangh ke karta- dharta ban gaye. yah Business jokhimon se bhara hua tha aur unke maama ko jokhim pasand nahi tha isaliye jaldi hi dono ke raaste alag ho gaye. isse Reliance par Koyi khaas Farak nahi pada aur 1966 mein reliance Textiles Astitva mein aaya. Isi saal Reliance ne Ahmedabad ke naroda mein textile mill ki sthaapna ki. vimal ki branding is taraha ki Gayi ki Jaldi Hi yaha ghar-ghar mein Pahchaana jaane laga aur vimal ka Kapda bada Bhartiya naam ban gaya. vimal darasal unke bade bhai Ramnik Lal ke bete ka naam tha. inhi sab sangharsho ke beech unka vivaah Kokilaben se hua jinse unhe do bete mukesh aur anil tatha do betiyaan Deepti aur neena Hui. unhone iske baad kabhi peeche mudkar nahi dekha aur Reliance kapde ke saath hi Petroleum aur Doorsanchar Jaisi Companiyon ke saath Bharat ki sabse Badi Company ban gayi. in sabke beech dhirubhai ambani par Sarkar ki neetiyo ko prabhaavit karne aur neetiyo ki kamiyon se labh kamane ke aarop bhi lagte rahe. unke aur NUSLI WADIYA ke beech hone waale Business ghamaasaan par Bhi bahut kuch likha gaya. unke jeevan se prerit ek Film GURU banayi gayi jisme abhishek bachchan ne unki bhumikq ka nirvaah kiya. Lagataar badte business ke bich unka swaasth kharab hua aur 6th july 2002 ko unki mrutyu ho gayi. Mrutyu ke baad unke kaam ko bade bete mukesh ambani ne sambhala.
Post a Comment
if you have any doubts, please let me know