INSPIRING SUCCESSFUL STORY OF RATAN TATA
Source: wikimedia
RATAN
TATA INDIA KE PRAMUKH UDYOGPATIYON MEIN SE EK HAIN. RATAN TATA
HAZARON LAAKHON LOGON KE LIYE ADARSH HAI. INHONE APNE JIVAN MEIN KADE
SANGHARSH MEHNAT KI BADAULAT YAHA MUKAAM HAASIL KIYA HAI. RATAN TATA
NE 1991 MEIN TATA GROUP KE ADHYAKSH BANE THE AUR 28 DECEMBER
2012 MEIN RATAN TATA NE TATA GROUP KI ADHYAKSHATA SE ISTIFA DE DIYA
THA. HAALAAKI RATAN TATA ABHI BHI TATA GROUP KE TRUST KE ADHYAKSH
BANE HAIN. RATAN TATA, TATA GROUP KE ALAVA TATA STEEL, TATA MOTOR'S,
TATA POWER, TATA CONSULTANCY SERVICES, TATA TEA, TATA CHEMICALS,
INDIAN HOTELS AUR TATA TELESERVICES KE ADHYAKSH BHI RAHE HAIN. RATAN
TATA NE APNI AGUVAAYI MEIN TATA GROUP KO NAYI BULANDIYON PAR
PAHUNCHANE KA KAAM KIYA HAI.
RATAN
TATA KA JANAM 28 DECEMBER 1935 MEIN SURAT SHEHAR MEIN HUA THA. 1940
KE DASHAK MEIN JAB RATAN TATA KE MAATA-PITA (SIMONE AUR NOEL) EK
DUSRE SE ALAG HUE US SAMAY RATAN TATA 10 SAAL KE AUR UNKA CHOTA BHAI
JIMMY SIRF 7 SAAL KA THA. ISKE BAAD IN DONO BHAIYON KA PAALAN POSHAN
INKI DAADI NAVAJBAI TATA NE KIYA THA. MUMBAI KE CAMPAION SCHOOL SE
RATAN TATA NE APNI PRARAMBHIK SHIKSHA PURI KI USKE BAAD CATHEDRAL
AND JOHN CONNAN SE INHONE APNI MAADHYAMIK SHIKSHA PURI KI PHIR INHONE
STRUCTURAL ENGINEERING KE SAATH CORNEL VISHWA VIDYALAYA SE 1963 MEIN
SNAATAK KI DEGREE LI. IN SABKE BAAD RATAN TATA NE HARVARD BUSINESS
SCHOOL SE 1975 MEIN ADVANCE MANAGEMENT PROGRAM BHI PURA KIYA.
BHARAT
VAAPAS AANE SE PEHALE RATAN TATA LOS ANGELES, CALIFORNIA MEIN JONES
AUR EMMONS MEIN THODE SAMAY KAAM KIYA. RATAN TATA NE APNE CAREER KI
SHURUAAT TATA GROUP SE KI THI. TATA GROUP SE RATAN TATA 1961 MEIN
JUDE THE. RATAN TATA, TATA GROUP KI KAI COMPANIYO MEIN APNA SAHYOG DE
CHUKE THE. USKE BAAD 1971 MEIN INHE RAASHTRIYA RADIO AUR ELECTRONICS
COMPANY (NELCO) MEIN PRABHAARI NIDESHAK KA KAARYA BHAAR SAUMPA GAYA.
ISKE BAAD 1981 MEIN RATAN TATA, TATA INDUSTRIES KE ADHYAKSH BANE.
1991 MEIN JRD TATA NE APNE ADHYAKSH PAD SE ISTIFA DENE KA FAISLA LIYA
AUR RATAN TATA KO APNA UTTARAADHIKAARI GHOSHIT KIYA. RATAN TATA NE
APANI PRATIBHA KE DUM PAR TATA GROUP KO NAYI BULANDIYON PAR
PAHUNCHA DIYA. RATAN TATA KI ADHYAKSHATA MEIN TATA MOTOR’S NE APNI
PEHLI BHARATIYA CAR TATA INDICA LAUNCH KI JO KAAFI SAFAL BHI RAHI.
ISAKE
BAAD TATA TEA NE TETLY, TATA MOTOR’S NE JAGUAR, LAND ROVER
AUR TATA STEEL NE CORUS KO TAKEOVER KAR BHARATIYA BAZAR MEIN TEHALKA
MACHA DIYA. DUNIYA KI SABSE SASTI KAAR BANANE KA IDEA BHI RATAN TATA
KA HI THA. HAALAANKI BAAD MEIN INHONE 28 DECEMBER 2014 KO TATA SAMOOH
KE SABHI KAARYAKAARI JIMMEDAARIYON SE SEVAANIVRITT HO GAYE THE AUR
UNKI JAGHA 44 VARSHIYA CYRUS MISTRY KO DI GAYI. TATA SAMOOH SE APNE
KAARYON SE NIVRITT HONE VAALE RATAN TATA NE HAAL HI MEIN E-COMMERCE
COMPANY SNAPDEAL, URBAN LADDER AUR CHINESE MOBILE COMPANY XIOMI
MEIN BHI NIVESH KIYA HAI. ABHI RATAN TATA PRADHAANAMANTRI VYAAPAAR
AUR UDYOG PARISHAD AUR RAASHTRIYA VINIRMAAN PRATISPARDHATMAKTA
PARISHAD KE ADHYAKSH KE TAUR PAR NIYUKT HAI.
Post a Comment
if you have any doubts, please let me know