INSPIRING STORY OF MAJOR DHYAN CHAND - "हॉकी के जादूगर"
Source: wikimedia
MAJOR
DHYAN CHAND KI KAHANI HOCKEY KE JADUGAR KE NAAM SE PRASIDDHA THE.
MAJOR DHYAN CHAND BAHU PRATISHTHIT BEHATARIN HOCKEY PLAYER THE. GOAL
KARNE KI UNKI
KSHAMTA ADBHUT THI AUR AKSAR VIRODHI TEAM BHARAT KE IS KHILADI KE
SAAMNE GHUTNE TEKTE HUE NAZAR AATE THE. 29 AUGUST KO AANE WALA UNKA
JANAMDIN BHARAT MEIN RASHTRIYA KHEL DIVAS KE ROOP MEIN MANAYA JAATA
HAI AUR BHARAT KE RAASHTRAPATI NE BHI UNHE RAJIV GANDHI KHEL RATNA,
ARJUN AUR DRONACHAARYA AWARD SE IS DIN SAMMAANIT BHI KIYA GAYA HAI.
HOCKEY FIELD MEIN 3 OLYMPIC MEDAL JEETNE WAALA BHARATIYA HOCKEY
KHILADI DHYAN CHAND BESHAK HOCKEY KE SABSE BEHATARIN AUR HARFANMAULA
KHILADI THE. VE US SAMAY BHARATIYA ANTAR RAASHTRIYA HOCKEY TEAM KE
SADASYA THE, JIS SAMAY BHARTIYA HOCKEY TEAM NE PURI DUNIYA MEIN APNA
DABDABA BANAYA HUA THA.
EK
KHILADI KE ROOP MEIN GOAL KARNE KI UNKI SHAILI AUR KALA DUSRE SABHI
KHILADIYO SE BILKUL ALAG AUR ADBHUT THI. ISILIYE UNHE HOCKEY KE
JAADUGAR KE NAAM SE BHI JAANA JAATA HAI. HAR MATCH MEIN HOCKEY KI
GENDH PAR UNKI ADBHUT PAKAD HOTI THI AUR GENDH KO GHASITNE MEIN BHI
VE BEHTAR THE. BALKI GENDH KO GHASITNE KI UNKI KALA AVISHWASNIYA THI.
LOG UNHE HOCKEY KI STICK SE KHELNE WALA JADUGAR KAHKAR HI
BULATE THE. KAE BAAR VIRODHI TEAM NE UNKI STICK KO BHITAR SE DEKHNE
KE LIYE MATCH KE DAURAAN TODNE KI BHI KOSHISH KI THI. HOCKEY KE PRATI
UNKA PREM TAB BADHNE LAGA THA JAB KISHORE AVASTHA MEIN HI VE ARMY
MEIN SHAMIL HO CHUKE THE. SHURU-SHURU MEIN ARMY TEAM KI TARAF SE
KHELTE THE, JAHAN UNHONE ACHA KHELKAR APNA NAAM BHI KAMAYA.
JIS
BHARATIYA TEAM NE 1928 KE AMSTERDAM OLYMPIC AUR 1932 KE LOS ANGELES
OLYMPIC MEIN GOLD MEDAL JEETA THA, US BHARATIYA TEAM KE CAPTAIN DHYAN
CHAND HI THE. 1932 KE OLYMPIC MEIN BHARAT KA PEHALA MATCH JAPAN KE
KHILAF THA, JISE UNHONE 11-1 SE JEETA THA. ISSE SIDDH HUA KI
BHARATIYA TEAM KAAFI ACHA PRADARSHAN KAR RAHI HAI AUR SABKO YAKIN THA
KI TEAM FINAL MEIN JAAKAR EK BAAR PHIR GOLD MEDAL ZARUR JEETEGI.
OLYMPIC KE BAAD BHARATIYA TEAM NE UNITED STATE, ENGLAND AUR DUSRE
DESHO SE KHELNE KE LIYE BAHUT SE INTERNATIONAL TOUR BHI KIYE.
TOUR KE ANTH MEIN, BHARAT KHELE GAYE 37 MATCHON MEIN SE 34 JITA THA.
IS TOUR MEIN CHAND NE BHARAT DWAARA KIYE GAYE 338 GOAL MEIN SE 133
GOAL DAAGE THE. 1934 MEIN UNHE BHARATIYA HOCKEY TEAM KA CAPTAIN
BANAYA GAYA AUR APNE APNI KAPTAANI MEIN TEAM KO 1936 KE BERLIN
OLYMPIC MEIN LE GAYE. VAHA BHI UNHONNE APANA JAADU DIKHAYA AUR BHARAT
KO TEESRA OLYMPIC GOLD MEDAL JEETAYA. 1940 KE ANTH TAK VE LAGAATAR
HOCKEY KHELTE RAHE AUR PHIR ISKE BAAD 1956 MEIN ARMY KE MAJOR KE ROOP
MEIN SEVANIVRUTT HUE. SEVAANIRVRUTT HONE KE BAAD VE BHARATIYA TEAM KE
COACH BANE.
1956
MEIN, 51 SAAL KI UMAR MEIN MAJOR KE PAD PAR KAARYA KARTE HUE VE
SEVAANIRVRUTT HUE. ISKE BAAD USI SAAL BHARAT SARKAR NE UNHE BHARAT KE
TEESRE SARVOCH SAMMAAN PADMA BHUSHAN DEKAR SAMMAANIT KIYA.
SEVAANIRUTTI
KE BAAD VE RAAJASTHAAN KE MOUNT ABU MEIN COACH KA KAAM KARNE LAGE.
BAAD MEIN UNHONE PATIYAALA KE NATIONAL INSTITUTE OF SPORT KE MUKHYA
HOCKEY COACH HONE KE PAD KO SWEEKAR KIYA AUR KAYI SAALO TAK USI PAD
PAR REHTE HUE KAAM BHI KIYA. DHYAN CHAND NE APANE ANTIM DIN APNE GAAV
JHANSI MEIN BITAYE THE. MAJOR DHYANCHAND KI MRUTYU 3 DECEMBER
1979 KO ALL INDIA INSTITUTE OF MEDICAL SCIENCE, DELHI MEIN HUYI.
JHANSI KE SHAHIDON KE MAIDAN PAR UNKA DAAHA SANSKAR KIYA GAYA THA.
MAJOR DHYAN CHAND KO MILE HUE AWARD AUR UPLABDHIYAAN
VE
UN TEENO BHARATIYA TEAM KE SADASYA THE JINHONE 1928, 1932 AUR 1936 KE
OLYMPIC MEIN GOLD MEDAL JEETHA THA.
APNE
PURE HOCKEY CAREER MEIN UNHONE TAQRIBAN 1000 SE BHI JYADA GOAL KIYE
THE, JINME SE 400 UNHONNE ANTARARAASHTRIYA STHAR PAR KIYE THE.
1956
MEIN HOCKEY FIELD MEIN UNKE YOGDAN KO DEKHTE HUE BHARAT SARKAR NE
UNHE BHARAT KE TEESRE SARVOCH AWARD PADMA BHUSHAN SE SAMMAANIT KIYA
THA.
KISI
BHI KHILAADI KI MAHAANATA KO GINNE KA SABSE ACHA PAIMAANA YAHI HAI KI
US KHILADI KE SAATH KITANI GHATNAYE JUDI HUI HAI. US HISAAB SE TO
MAJOR DHYANCHAND KA KOI JAVAAB HI NAHI. HOLLAND MEIN TO LOGO NE UNKI
HOCKEY STIK TUDAVA KAR BHI DEKH LI THI KE KAHI USME CHUMBAK TO NAHI.
YAHI GHATANA HAMEN ANTARARAASHTRIY STAR PAR UNKI LOKAPRIYATA KO
DARSHAATI HAI.
WAQT
AGAR KISI CHEEZ KO LAUTANA CHAHE TO BESHAK BHARATIYA KHEL JAGAT MAJOR
DHYANACHAND KO MAANGNA CHAHEGA.
UNSA
NA KOI HUA AUR HO SAKTA HAI AUR NA BHAVISHYA MEIN KOI HOGA.
KHEL
SE KHILAADI KI PAHACHAAN BANATI HAI LEKIN DHYANCHAND TO HOCKEY KA
AAINA BAN GAYE.
Post a Comment
if you have any doubts, please let me know