CHANGE YOURSELF - KHUD ME BADLAAV KIJIYE
EK
NAGAR MEIN EK RAJA RAHATA THA. RAJA JAB BHI MAHAL SE BAAHAR JAATA,
HUMESHA APNE GHODE PAR HI JAATA THA.
EK
BAAR WAHA APNE NAGAR KO DEKHANE AUR JANTA KI SAMASYAON KO SUNNE KE
LIYE PAIDAL HI BHRAMAN PAR NIKALA. US SAMAY JOOTE NAHI HOTE THE
ISLIYE ZAMEEN PAR KANKAD AUR PATTHARON KE KARAN RAJA KE PAIR DUKHNE
LAGE. RAJA NE IS SAMASYA KE HAL KE LIYE APNE MANTRIYON KI EK BAITHAK
BULAYI.
JYAADATAR
MANTRIYON KA YAHI SUJAAV THA KI KYO NA PURE NAGAR KE RAASTE KO
CHAMADE KI MOTI PARAT SE DHAK DIYA JAYE. LEKIN ISKE LIYE BAHUT SAARE
DHAN AUR ANYA SANSAADHANON KI JARURAT THI.
TABHI
RAJA KE PAAS KHADE EK SIPAHI NE SUJAAV DIYA KI PURE NAGAR KO CHAMADE
KI PARAT SE DHAKANE SE ACHA YAHA HAI KI KYO NA HUM APNE PAIRON KO HI
CHAMADE KI PARAT SE DHAK DEN. ISSE NA KEVAL HAMAARE PAIR SURAKSHIT
RAHENGE BALKI JYAADA DHAN BHI KHARCH NAHIN HOGA. SIPAHI KA SUJAAV
SUNKAR RAJA PRASANN HUA AUR USNE SABHI KE LIYE "JUTE”
BANAVAANE KA AADESH DIYA.
MORAL
OF THE STORY
CHANGE
YOURSELF - "KHUD MEIN VO BADALAAV KI JIYE JO AAP IS
SANSAAR MEIN DEKHNA CHAAHTE HAI."
Post a Comment
if you have any doubts, please let me know