अगर हम सकारात्मक है तो कोई फर्क नहीं पड़ता - DOESN'T MATTER IF WE STAY POSITIVE
EK
BAAR EK PARESHAAN AUR NIRAASH VYAKTI APNE GURU KE PAAS PAHUNCHA AUR
BOLA – “GURUJI MAIN ZINDAGI SE BAHUT PARESHAAN HU. MERI ZINDAGI
MEIN PARESHAANIYON AUR TANAAV KE SIVAAY KUCH BHI NAHI HAI. KRUPAYA
MUJE SAHI RAAH DIKHAIYE."
GURU
NE EK GLASS MEIN PAANI BHARA AUR USMEIN MUTTHEE BHAR NAMAK DAAL DIYA.
PHIR GURU NE US VYAKTI SE PAANI PEENE KO KAHA.
US
VYAKTI NE AISA HI KIYA.
GURU
:- IS PAANI KA SWAAD KAISA HAI ??
"BAHUT
E KHARAAB HE" US VYAKTI NE KAHA.
PHIR
GURUJI US VYAKTI KO PAS KE TALAAB KE PAAS LE GAYE. GURU NE US TAALAAB
MEIN BHI MUTTHEE BHAR NAMAK DAAL DIYA PHIR US VYAKTI SE KAHA - IS
TAALAAB KA PAANI PEEKAR BATAO KI KAISA HAI. US VYAKTI NE TAALAAB KA
PAANI PIYA AUR BOLA – GURUJI YAHA THO BAHUT HI MEETHA HAI. GURU NE
KAHA – “BETA JEEVAN KE DUKH BHI IS MUTHTHEE BHAR NAMAK KE SAMAAN
HU HAI. JEEVAN MEIN DUKHO KI MAATRA WAHI RAHATI HAI - NA JYAADA NA
KAM. LEKIN YAHA HAM PAR NIRBHAR KARTA HAI KI HUM DUKHO KA KITNA SWAAD
LETE HAI. YAHA HUM PAR NIRBHAR KARTA HAI KI HUM APNI SOCH AUR GYAAN
KO GLASS KI TARAH SEEMIT RAKHKAR ROJ KHAARA PAANI PEETE HAI YA PHIR
TAALAAB KI TARAH BANKAR MEETHA PAANI PEETE HAI."
MORAL
OF THE STORY
“EK-MUTTHEE
-BHAR -NAMAK EK GLASS ME BHARE MEETHE PAANI KO KHARA BANA SAKTA HE
LEKIN WAHI MUTTHII BHAR NAMAK AGAR TAALAB MEIN YA ZHEEL ME DAAL
DIYA JAAYE THO KOI FARAK NAHI PADEGA. ISI TARAH AGAR
HUMARE BHITAR SAKARATMAK URJA KA STHAR OONCHA HAI THO CHOTI CHOTI
PARESHANIYAN AUR SAMASYAON SE HUMEIN KOI FARAK NAHI PADTA”
Post a Comment
if you have any doubts, please let me know